HAZRATE BILAAL AL-HABASHI (RAZI’ALLAHU
ANHU) ….
» ALQAB: SAYYEDUL
MUAZZIN, MUAZZIN-E-AWWAL.
» WILADAT: 580
C.E. ME MAKKA ME HUI.
AAP KE WAALIDAIN ABYSSINIA (ETHIOPIA, AFRICA) KE HAIN.
AAP KE WAALID KA NAAM RABAH AUR WAALIDA KA NAAM HAMAMAH HAI.
AAP NE
30 BARAS KI UMR ME JAB ISLAM APNAYA TOU SHURU ME MAKHAFI RAKHA. JAB AAP KE
MAALIK UMAYYAH IBN KHALAF KO PATA CHALA TOU USS NE AAP KO TARAH TARAH KI TAKLIF
DENA SHURU KIYA. WO AAP KO GARM RET PAR LETAKAR AAP KE UPAR BADE BHARI PATTHAR
RAKTA THA. LEKIN HAZRATE BILAAL NE ISLAM KO NA CHHODA AUR APNE MOHABBATE RASOLL
KA SABOOT DIYA.
PHIR HUZOOR (SALLALLAHU ALAIHAY WASALLAM) KE HUKM PAR HAZRATE ABU BAKR SIDDEEQ
(RAZI’ALLAHU ANHU) NE UMAYYAH IBN KHALAF KO DUSRA GULAM AUR KUCHH RAQAM DEKAR
AAP KO AAZAD KARAYA.
JAB HAZRTE ABU BAQR AAP KO LEKAR JA RAHE THE TAB UMAYYAH IBN KHALAF NE KAHA ‘AYE
ABU BAQR, TUM NE BAHUT MAHENGA SAUDA KIYA.’ TOU HAZRTE ABU BAQR NE USS SE KAHA ‘TUM
NE SIRF BILAAL KO DEKHA HAI AUR MAINE USKE DIL ME MOHABATE RASOOL KO DEKHA HAI.’
622 C.E.
ME HUZOOR (SALLALLAHU ALAIHAY WASALLAM) KE MADEENA AANE KE BAAD AAP BHI MAKKA
SE HIJRAT KARKE MADEENA AA GAYE.
» AAP
KI BIWI KA NAAM HIND HAI.
» AAP
NE JANGE BADR AUR DUSRI TAMAM JANG ME SHIRKAT KI. JANGE BADR ME AAP NE UMAYYAH
BIN KHALAF KO QATL KAR DIYA.
» AAP
ISLAM KE SAB SE PEHLE MUAZZIN HAIN.
2 HIJRI ME JAB HAZRATE UMAR (RAZIALLAHU ANHU) NE HUZOOR (SALLALLAHU ALAIHAY
WASALLAM) NE NAMAAZ KE LIYE MUSALMANO KO JAMA KARNE KE LIYE AZAAN PUKARNE KA
MASHWARA DIYA. TOU HUZOOR (SALLALLAHU ALAIHAY WASALLAM) NE HAZRATE BILAAL KO
MUAZZIN MUQARRAR KIYA.
» AAP
HAMESHA HUZOOR (SALLALLAHU ALAIHAY WASALLAM) KE SAATH REHTE THEY,
MASJID-E-NABAWI ME YA MASJID-E-QUBA ME YA SAFAR ME, AUR AAP KI AZAAN KI AAWAZ
SE ASHABA KO PATA CHAL JAATA THA KE HUZOOR (SALLALLAHU ALAIHAY WASALLAM) KIS
MAQAAM PAR HAI.
JAB MAKKA FATEH HUA TOU AAP NE KA’ABATULLAH PAR AZAAN PUKARI.
» HUZOOR
(SALLALLAHU ALAIHAY WASALLAM) NE AAP KO APNA KHAJANCHI MUQARRAR KIYA THA AUR
JAB KOI SHAKHS APNI HAAJAT LEKAR DARBARE NABI ME AATA THA TOU AAP HAZRATE
BILAAL KO USKE LIYE HUKM DETE THE AUR WO USEY USKI HAAJAT KI CHIZ DETE THE.
» HIQAYAT: EK
BAAR HUZOORE AKRAM (SALLALLAHU ALAIHAY WASALLAM) NE FAJR KE WAQT
HAZRAT-E-BILAAL SE FARMAYA KE ‘AYE BILAAL, YE BATAO KE EIMAAN LAANE KE BAAD TUM
NE WO KAUN SA AISA AMAL KIYA HAI JO FAZEELAT ME DUSRE AMAL SE BADHKAR HAI. KYUN
KE MAINE YE KHUSHKHABRI SUNI HAI KE TUM JANNAT ME DAAKHIL HONE WALE HO.’
UNHO NE KAHA ‘YA RASOOL’ALLAH (SALLALLAHU ALAIHAY WASALLAM)! MUJHE AISA KOI
AMAL YAAD NAHI AATA,’ PHIR KUCHH DER BAAD AAP NE KAHA ‘AYE MERE AAQA, MAI JAB
BHI WUZU KARTA HU, CHAHE DIN ME YA RAAT ME, TOU FOURAN MAI TAHYATUL WUZU KI
NAMAAZ PADHTA HU AUR JAB BHI MERA WUZU TOOT JAATA HAI TOU MAI FOURAN WUZU KAR
LIYA KARTA HU.’
HUZOORE (SALLALLAHU ALAIHAY WASALLAM) NE FARMAYA KE ‘AYE BILAAL, YE HI WO AMAL
HO SAKTA HAI, JIS KI WAJAH SE YE KHUSHKHABARI MILI HAI.’
» HUZOOR
(SALLALLAHU ALAIHAY WASALLAM) KE PARDA FARMANE KE BAAD HAZRATE ABU BAKR
(RAZIALLAHU ANHU) KE ILTEJA KARNE PAR HAZRATE BILAL MADEENA ME ROOKE.
LEKIN AAP KE WISAL KE BAAD HAZRATE UMAR FAROOQ KE ZAMANE ME HAZRATE BILAAL NE
UNN SE JIHAAD KE JAANE KI IJAZAT CHAHI. AAP NE MADEENA ME ROOKNE KI GUZARISH KI
MAGAR HAZRATE BILAAL NA MANE AUR SHAAM (SYRIA) KI TARAF RAWANA HO GAYE.
» AMEERUL
MO’MININ HAZRATE UMAR FAROOQ (RAZIALLAHU ANHU) JAB JERUSALEM GAYE TOU WAHA
HAZRATE BILAAL MAUJOOD THE AUR ASHABA KE ARZ KARNE PAR AAP NE UNKO AZAAN KE
LIYE GUZARISH KI. SHURU ME MANA KARNE KE BAAD JAB HAZRATE BILAAL NE AZAAN
PUKARI TOU SAB KO HUZOOR (SALLALLAHU ALAIHAY WASALLAM) KE ZAMANA-E-ZAAHIRI KI
YAAD AA GAI.
» WISAAL: AAP
KA WISAL 21 MOHARRAM 18 HIJRI (2 MARCH 640 C.E.) KO 60 BARAS KI UMR ME HUA.
AAP KA MAZAAR DAMASCUS (SHAAM /SYRIA) ME ‘BAAB-US SAGHEER’ ME HAI.
**** @[156344474474186:] *****
ALLAH TA’ALA HUME MUKAMMAL MOHABBATE RASOOL ATA FARMAE AUR SAB KE EMAAN KI
HIFAZAT FARMAYE AUR SAB KO NEK AMAL KARNE KI TAUFIQ ATA FARMAYE.
AUR SAB KO DUNIYA WA AAKHIRAT ME KAAMYABI ATA FARMAYE AUR SAB KI NEK JAIZ
MURADO KO PURI FARMAE. AAMEEN.
» NOTE: LIKHNE ME KOI KHATA HUI HO TOU HAME ZARUR ITTELA KARE… !!!!
DUA KI DARKHWAST !!!!
ALLAH US
SHAKHS KO ABAD RAKHTA HAI JO HADIS SUN K DOSRE KO PHNCHAYE
SHARE TO OTHERS SADQA E JARIYA